Trending technologies in 2018

Trending technologies in 2018

Dosto jese time bahut tezi se badh rha h uske saath saath technology ka development bhi bahut tezi se ho rha h. Iss  badhti hui technology ne inaasn ki zindagi ko bahut aasan kr dia h. Aaj m aapko kuch trending technology k baare m btaonga jo ki umeed krta krta hu ki aapke liye bahut hi fruitfull saabit hogi. ye blog thoda lengthy ho skta h lekin trust me aapko iss blog se bahut kuch seekhne ko milega.

Chalye dekhte h ek nazar badhti hui technolgy ki aur....

  1. Artificial Intelligence
  2. Blockchain
  3. Augmented Reality and Virtual Reality
  4. Cloud Computing
  5. Angular and React
  6. Internet of Things (IoT)
  7. Intelligent Apps (I – Apps)
  8. Big Data
  9. RPA (Robotic Process Automation)
Sbse pehle hm Artficial Intelligence se shuru krte h
1. Artificial Intelligence
Artificial Intelligence ka concept ye h ki computer system ka use un task ko krne k liye kiya jana h , jinhe krne k liye basically insaan ki zaroort hoti h. Inme speech recognition or alg alg language m translation krna or vo sabhi saamil h jinme visual perceptiom or yha tak ki decision making ki zaroort hoti h.


 Aane vaale kuch saalo m AI  (Artificial Intelligence) ki  demand bahut hogi, so ye  aapke liye ek bahut acha carrier option ho skta h.


2. Block chain
Blockchain ek digital ledger h. lekin kya aap ledger jaante h kya hota h. Ledger ek aesi book h jo ki aese accounts rkhta h jha pr debit or credit transaction post hoti h. so blockchian   technology ka mtlb yeh h ki original book se entry is digital ledger m update hoti h. or ye technology bitcoin se judi hui. tou aap andaza lga skte h ki ye future m kitni kaamyaab or achi technology hogi.
3. Augmented Reality and Virtual Reality
Augmented Reality Virtual reality ka hi doosra roop h.is technology m aapke aas paas k enviroment k jesa ek computerised enviroment tayyar kiya jata h, jo dekhne m real lgta h. jisko dekhkr aap real or virtual world m fark nhi bta skte . ye technology gaming, engg. desighn, robotics m use ki jaati h.




4. Cloud Computing

Cloud computing ek trah se internet aadaharit computing h, jisme computer or other devices k liye demand pr data or resource share kia jate h.
ye technology beshaq bahut hi achi and trending technology h aur aage future m cloud ka boom hoga. Aap isme bhi apna carrier option try kr skte h.


5. Angular and React
Angular and react dono hi javaScript based framework h jinka use modern web applications bnane k liye kia jata h.
Angular and React ka use krke koi bhi highly modular app mo easily bna skta h. in dono  ki help se hm native mobile application bhi aasani se bna skte h.


6. Internet Of Things (IoT)

IoT k baare m aapne suna tou hoga hi lekin aap logo m bahut se logo ko iska actual mtlb nhi pta hoga, chalye m aap ko batata hu, IoT ka meaning basically iske  naam se hi smjh aata h ki aesi devices jo internet se connect rhkar ek doosre  se aapas m communication kr skte h or internet ki help se ek doosre device ko data or signal  send kr skte h , aese device IoT ki shreni m aate h. so aap iss field m bhi aage carrier bnane k liye step le skte h.

7. Big Data

Aasaan shabdo ma khe tou Big Data ek  bdi problm ka naam h, jo ki din pr din badhte hue data ki aur ishara krti h.Big data ki problem ko solve krne k liye 2 framework available h.

 (i)Hadoop                                                           
 (ii)Spark



 Aaj k vaqt m bahut company m iss badhte hue data ko manage krne vaalo ki bahut demand h. so ye bhi aapke carrier ko safal bnane k liye kaafi achi opportunity sabit ho skti h.
Agar aapke paas big data ki thodi si bhi knowledge h to bahut shandaar.!.....or .agar nhi h tou aap iss ki aur kdam bdha skte h.


8. I-Apps

I-Apps vo code hote h jo software ke hi parts hote h, jinko mobile device ke liye likha jata  h. or ye codes Artificial Intelligence par based hote h, inka maqsad everyday task ko easy krna hota h.
ye apps bahut popular ho rhe h so future m inke base pr jobs milne k kaafi chance h.

9. Robotic Process Automation (RPA)

Robotic process automation kya hota h? agr hm simple words m baat kru tou RPA ka mtlb hota h ki kisi kaam ko insaan k action k bina ek sahi and meaningfull activity ki sequence m machine k dwara kiya jana RPA(Robotic Process Automation) kahlata h .
2018 m bots or machine learning ka craze aasman pr pahuch rha h.so RPA aage future m bahut hi valuable skill h.



I hope aapko smjh aagya hoga ki aapko aage future m kis field ki aur step lena h.
Aapka interest kis skill m h plss neeche diye hue comment m zaroor btaaye taaki m aage aapko uss topic se related achi achi updates de sku.


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

What is internet and how it works?